Abhi To Karna PaDega Safar Dobara Mujhe
abhi to karna paDega safar dobara mujhe
abhi karen nahin aaram ka ishaara mujhe
lahu mein aaega tufan-e-tund raat-ba-raat
karegi mauj-e-bala-KHez para-para mujhe
bujha nahin mere andar ka aaftab abhi
jala ke KHak karega yahi sharara mujhe
utar phenkta main bhi ye tar-tar badan
asir-e-KHak hun karna paDa guzara mujhe
uDe wo gard ki main chaar-su bikhar jaun
ghubar mein nazar aae na koi chaara mujhe
mere hudud mein hai mere aas-pas ki dhund
raha ye shahr to is ka nahin ijara mujhe
sahar hui to bahut der tak dikhai diya
ghurub hoti hui raat ka kinara mujhe
meri faza mein hai tartib-e-kaenat kuchh aur
ajab nahin jo tera chand hai sitara mujhe
na chhu sakun jise kya us ka dekhna bhi 'zafar'
bhala laga na kabhi dur ka nazara mujhe
(1368) Peoples Rate This