Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega

abhi kisi ke na mere kahe se guzrega

wo KHud hi ek din is daere se guzrega

bhari rahe abhi aankhon mein us ke nam ki nind

wo KHwab hai to yunhi dekhne se guzrega

jo apne aap guzarta hai kucha-e-dil se

mujhe guman tha mere mashware se guzrega

qarib aane ki tamhid ek ye bhi rahi

wo pahle pahle zara fasle se guzrega

qusur-war nahin phir bhi chhupta phirta hun

wo mera chor hai aur samne se guzrega

chhupi ho shayad isi mein salamti dil ki

ye rafta rafta agar TuTne se guzrega

hamari sada-dili thi jo hum samajhte rahe

ki aks hai to isi aaine se guzrega

samajh hamein bhi hai itni ki us ka ahd-e-sitam

guzarna hai to ab hausle se guzrega

gali gali mere zarre bikhar gae the 'zafar'

KHabar na thi ki wo kis raste se guzrega

(1891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega In English By Famous Poet Zafar Iqbal. Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega is written by Zafar Iqbal. Read famous Poem Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega for youth and Student by Zafar Iqbal. Free Download Abhi Kisi Ke Na Mere Kahe Se Guzrega in PDF.