Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ivv7t7diiejqchehubk7jh2r86, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main - Zafar Iqbal Zafar Poetry In English - Darsaal

Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main

zindagi ko shoabada samjha tha main

pattharon ko aaina samjha tha main

dhup ki yurish thi har ek samt se

saya-e-diwar se lipTa tha main

aaine hi aaine the har taraf

phir bhi apne aap mein tanha tha main

hadson se khelne ke bawajud

aaj bhi waisa hun kal jaisa tha main

rose zaKHmi hota tha mera badan

pattharon ke shahr mein rahta tha main

umr-bhar apne taaqub mein 'zafar'

apne hi sae se bas uljha tha main

(955) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Zindagi Ko Shoabada Samjha Tha Main in PDF.