Wo Nahin Uski Magar Jadugari Maujud Hai
wo nahin us ki magar jadugari maujud hai
ek sahar-alud mujh mein be-KHudi maujud hai
saf-ba-saf dushman hi dushman hain mere chaaron taraf
hausla dekho ki phir bhi zindagi maujud hai
bujh gai hai bastiyon ki aag ek muddat hui
zehn mein lekin abhi tak shoalagi maujud hai
baad-e-sarsar chal rahi hai aur us ke bawajud
phir bhi shamon mein abhi tak raushni maujud hai
hai ajab eajaz ye us ki mohabbat ka 'zafar'
jagti aankhon mein KHwab-e-zindagi maujud hai
(1001) Peoples Rate This