Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4cb9a2d3a570d555426a3d7a3d135f94, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya - Zafar Iqbal Zafar Poetry In English - Darsaal

Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya

sahra ka safar tha to shajar kyun nahin aaya

mangi thin duaen to asar kyun nahin aaya

dekha tha jise hum ne kabhi shauq-e-talab mein

mahtab sa wo chehra nazar kyun nahin aaya

hum log to marte rahe qiston mein hamesha

phir bhi hamein jine ka hunar kyun nahin aaya

lagta hai muqaddar mein mere saya nahin hai

muddat se safar mein hun to ghar kyun nahin aaya

jis ke liye baiThe the bichhae hue aankhen

mahfil mein abhi tak wo bashar kyun nahin aaya

mausam to har ek shaKH ke khulne ka 'zafar' tha

phir un pe koi barg-o-samar kyun nahin aaya

(1421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Sahra Ka Safar Tha To Shajar Kyun Nahin Aaya in PDF.