Rabta Kyun Rakhun Main Dariya Se
rabta kyun rakhun main dariya se
pyas bujhti hai meri sahra se
hai masail se ab wahi uljha
rishta joDa hai jis ne duniya se
KHushiyan imroz ki wo pata hai
jo ki ghafil nahin hai farda se
jis ko hasil thin neamaten sari
ab hai mahrum aab-o-dana se
hai KHuda ki nazar mein aali wahi
KHush-dili se jo milta adna se
thi jise saqi se 'zafar' nisbat
tishna lauTa wo baada-KHana se
(932) Peoples Rate This