Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_53ace43f46b283fee6ecfba5390838b5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai - Zafar Iqbal Zafar Poetry In English - Darsaal

Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai

labon par pyas sab ke be-karan hai

har ek jaanib magar andha kuan hai

hai koi aks-e-rangin aaine par

jabhi to aaine mein kahkashan hai

kisi se koi bhi milta nahin ab

har ek insan yahan to bad-guman hai

firaq-o-wasl ka qissa nahin hai

adhuri kis qadar ye dastan hai

nahin kuchh bolte hain jabr sah kar

lage tarshi hui sab ki zaban hai

watan mein rah ke bhi hai be-watan ye

bahut mazlum ye urdu zaban hai

kisi ka dard banTe gham mein roe

'zafar' ehsas logon mein kahan hai

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai in PDF.