Labon Par Pyas Sab Ke Be-karan Hai
labon par pyas sab ke be-karan hai
har ek jaanib magar andha kuan hai
hai koi aks-e-rangin aaine par
jab hi to aaine mein kahkashan hai
judai ka na qissa wasl ka hai
adhuri kis qadar ye dastan hai
kisi se koi bhi milta nahin ab
har ek insan yahan to bad-guman hai
nahin kuchh bolte hain jabr sah kar
lage tarshi hui sab ki zaban hai
watan mein rah ke bhi hai be-watan ye
bahut mazlum ye urdu zaban hai
kisi ka dard banTe gham mein roe
'zafar' ehsas logon mein kahan hai
(1022) Peoples Rate This