Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d2c6e1994a058dd3f976be83ff216464, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren - Zafar Iqbal Zafar Poetry In English - Darsaal

Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren

jo be-ghar hain unhen ghar ki dua deti hain diwaren

phir apne sae mein un ko sula deti hain diwaren

asiri hi muqaddar hai to koi kya kare aaKHir

muqayyad kar ke apne mein saza deti hain diwaren

hamari zist mein aise bhi lamhe aate hain aksar

dararon ke tawassut se hawa deti hain diwaren

meri chiKHen fasilon se kabhi bahar nahin jatin

shikasta ho ke girne par sada deti hain diwaren

mayassar ghar nahin jin ko jo rahon mein bhaTakte hain

'zafar' un ko makanon ka pata deti hain diwaren

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Jo Be-ghar Hain Unhen Ghar Ki Dua Deti Hain Diwaren in PDF.