Jis Rose Se Apna Mujhe Idrak Hua Hai
jis rose se apna mujhe idrak hua hai
har lamha meri zist ka saffak hua hai
ghar se to nikal aae ho socha nahin kuchh bhi
ab soch rahe ho jo badan chaak hua hai
tahzib hi baqi hai na ab sharm-o-haya kuchh
kis darja ab insan ye bebak hua hai
guzra hai koi saneha basti mein hamari
har shaKHs ka chehra yahan ghamnak hua hai
uftad zamane ki paDi aisi hai mujh par
tha jo bhi asasa KHas-o-KHashak hua hai
aandhi thi wo nafrat ki ki insan tha andha
hain shoale uThe aise ki sab KHak hua hai
aslaf ke aqdar ko apnaya hai jis ne
pasti mein raha phir bhi wo aflak hua hai
rakha hai qadam jis ne siyasat ke safar par
wo shaKHs 'zafar' sahab-e-imlak hua hai
(1107) Peoples Rate This