Ek Ek Pal Tera Nayab Bhi Ho Sakta Hai
ek ek pal tera nayab bhi ho sakta hai
hausla ho to zafar-yab bhi ho sakta hai
biphri maujon se ulajhne ka saliqa hai agar
ye samundar kabhi payab bhi ho sakta hai
umr tapte hue sahra mein basar ki jis ne
to sarabon se wo sairab bhi ho sakta hai
aap dariya ki rawani se na uljhen hargiz
tah mein us ke koi girdab bhi ho sakta hai
lakh moti hi sahi waqt ki gardish mein kabhi
qimti kitna ho be-ab bhi ho sakta hai
jis ko majbur hua hai to khurachne pe 'zafar'
teri aankhon ka hasin KHwab bhi ho sakta hai
(1133) Peoples Rate This