Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_85a3de9806acb8b0951c520f14882e20, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain - Zafar Imam Poetry In English - Darsaal

Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain

sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain

lauT ke phir aane jaane ka wada karti rahti hain

kya jaane kab dharti par sailab ka manzar ho jae

har-dam ye majbur nigahen warsha karti rahti hain

un ki nayya bin manjhi ke par karegi sab dariya

kyunki Dher duaen jaise pichha karti rahti hain

kis kis manzar par KHud ko ranjida kar lun sochunga

har manzar par aanhken meri nauha karti rahti hain

be-mehnat jab roTi qaidi ban jati hai thaali ki

be-ghairat si raaten mujh se shikwa karti rahti hain

patthar ho jaen ya pani rim-jhim rim-jhim barsaen

aanhken sare manzar ko aaina karti rahti hain

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain In English By Famous Poet Zafar Imam. Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain is written by Zafar Imam. Read famous Poem Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain for youth and Student by Zafar Imam. Free Download Sahil Par Dariya Ki Lahren Sajda Karti Rahti Hain in PDF.