Mere Andar Ka Ghurur Andar Guzarta Rah Gaya
mere andar ka ghurur andar guzarta rah gaya
sar se panw tak utarna tha utarta rah gaya
barishon ne phir wahi zahmat uThai der se
ek registan hai ki phir bhi pyasa rah gaya
zindagi bhar aankh se aansu nadamat ke gire
aur mere dil ka suffa yun hi sada rah gaya
pahli barish hi mein taqwa ke nishan sab dhul gae
sar mein ek TuTa hua mazlum sajda rah gaya
kaise hoga ab KHudai bandagi ka faisla
shahr ke sare KHuda mein ek banda rah gaya
jald manzil tak pahunchne ka junun us ko raha
zindagi bhar is liye rasta badalta rah gaya
(1021) Peoples Rate This