Main Hi Dastak Dene Wala Main Hi Dastak Sunne Wala
main hi dastak dene wala main hi dastak sunne wala
apne ghar ki barbaadi par main hi sar ko dhunne wala
jiwan ka sangit achanak antim sur ko chhu leta hai
hansta hi rahta hai phir bhi mere andar marne wala
rishte bosida diwaron ke jaise Dhah jaen pal mein
lekin main bhi diwaron ke malbe se sar chunne wala
lafzon ke panw ko chhu kar aashirwadi lahje mein
meri ghazlon mein bhi ek jazba hai dil ko chhune wala
thoDi si mohlat milti to papon se main hi bhar leta
jiwan ka ek suffa bhi tha kaise sada rahne wala
main apne dukh ke sagar mein koi patthar phekun kaise
barson tak na-mumkin hai wo lauTe lahren ginne wala
(1031) Peoples Rate This