Dhup Nikli Kabhi Baadal Se Dhaki Rahti Hai
dhup nikli kabhi baadal se Dhaki rahti hai
raat din apni hi aaankhon mein jagi rahti hai
dekhte jaiye milne ka ye andaz bhi ek
honT pe thoDi murawwat ki hansi rahti hai
kya samundar ko bhi KHatra hai ki is mein koi
kulbulati hui bechain nadi rahti hai
ek nazar dekhti jaengi hamari aanhken
band dil mein koi khiDki bhi khuli rahti hai
saf jazbon ke hawale se to gham hain lekin
ek lamhe ki KHushi ek sadi rahti hai
dekh lete hain andhere mein bhi rasta apna
shama ehsas ke manind jali rahti hai
(1080) Peoples Rate This