Dard Bahta Hai Dariya Ke Sine Mein Pani Nahin
dard bahta hai dariya ke sine mein pani nahin
us ka chaTTan pe sar paTakna kahani nahin
baat pahunche samaat ko tasir de kis tarah
lafz hain aur lafzon mein zor-e-bayani nahin
TuT jaegi diwar jitni bhi mazbut ho
us ke ehsas ki dhup bhi saebani nahin
kya samajh-bujh kar hum bhi apna KHuda ho gae
jaise duniya hamesha ki ho dar-e-fani nahin
Dubte Dubte naw pahunchegi ek din zarur
mere sahil pe dariya teri mehrbani nahin
hum sabhi ek rishte ki manjdhaar mein qaid hain
chiKHna kashtiyon ka 'zafar' be-maani nahin
(1464) Peoples Rate This