Bhale Hi Aankh Meri Sari Raat Jagegi
bhale hi aankh meri sari raat jagegi
saja saja ke saliqe se KHwab dekhegi
ujala apne gharaunde mein rah gaya to raat
kahan qayam karegi kahan se guzregi
hamari aankh samundar khangalne wali
yaqin hai ki kabhi motiyon se khelegi
KHud-e'timadi zara e'tidal mein rakhiyo
ulaT gai to wo apni zaban bhulegi
suhani sham ke mausam mein kyun udasi hai
hawa udhar se chali to kahan pe Thahregi
kisi ana ko koi maslahat na chhu pae
yahi to hai ki mera e'tibar rakkhegi
tumhaare sar pe fazilat ki chhanw hai sahib
KHata-muaf tumhein ye khanDar bana degi
(1275) Peoples Rate This