Tu KHud Bhi Nahin Aur Tera Sani Nahin Milta
tu KHud bhi nahin aur tera sani nahin milta
paigham tera teri zabani nahin milta
main bich samundar mein hun aur pyas se betab
pine ko to ek bund bhi pani nahin milta
duniya ke karishmon mein muamma to yahi hai
duniya ke karishmat ka bani nahin milta
mera bhi to ek dost tha gham banTne wala
ab dasht-e-bala mein wahi jaani nahin milta
jo marta hai ji uThta hai wo rup badal kar
mujh ko to yahan koi bhi fani nahin milta
shahkar si taswir meri koi banata
bahzad mayassar nahin mani nahin milta
kabe ke kisi goshe mein mil jaega shayad
but-KHane mein firdaus-makani nahin milta
uslub purane hain to alfaz hain be-rang
nadir sa 'zafar' tarz-e-lisani nahin milta
(1082) Peoples Rate This