Main Zindagi Ka Naqsha Tartib De Raha Hun
main zindagi ka naqsha tartib de raha hun
phir ek jadid KHaka tartib de raha hun
har saz ka tarannum yaksaniyat-numa hai
ek taza-kar naghma tartib de raha hun
jis mein teri tajalli KHud aa ke ja-guzin ho
dil mein ek aisa gosha tartib de raha hun
lamhon ke silsile mein jita raha hun lekin
main apna KHas lamha tartib de raha hun
kitne ajib qisse likkhe gae abhi tak
main bhi anokha qissa tartib de raha hun
zarron ka hai ye tufan be-chehragi ba-daman
zarron se ek chehra tartib de raha hun
duniya ke sare rishte be-mani lag rahe hain
KHaliq se apna rishta tartib de raha hun
pur-pech raston par chalta hua 'zafar' main
sidha sa ek rasta tartib de raha hun
(961) Peoples Rate This