Kyun Main Hail Ho Jata Hun Apni Hi Tanhai Mein
kyun main hail ho jata hun apni hi tanhai mein
warna ek pur-lutf saman hai KHud apni gahrai mein
fitrat ne ata ki hai be-shak mujh ko bhi kuchh aqal-e-salim
kaun KHalal-andaz hua hai meri har danai mein
jhuT ki namkini se baaton mein aa jata hai maza
koi nahin leta dilchaspi phiki si sachchai mein
apne the begane the aur aaKHir mein KHud meri zat
kis kis ka ikram hua hai kitna meri ruswai mein
badle badle lagte ho hai chehre par anjaana-pan
ya waqt ke hathon farq aaya meri hi binai mein
sunne walon ke chehron par surKH lakiron ke hain nishan
KHuni sochon ki aamezish hai naghmon ki shahnai mein
sab qadren pamal huin insan ne KHud ko masKH kiya
qudrat ne kitni mehnat ki thi apni bazm-arai mein
apni aagahi ki un ko hoti nahin taufiq kabhi
log KHuda ko DhunD rahe hain aafaqi pahnai mein
duniya ki danish-gahon mein aaj ajab ek bahas chhiDi
kaun bharose ke qabil hai aaqil aur saudai mein
jaane kis kirdar ki kai mere ghar mein aa pahunchi
ab to 'zafar' chalna hai mushkil aangan ki chiknai mein
(1159) Peoples Rate This