Jhil Mein Us Ka Paikar Dekha Jaise Shola Pani Mein
jhil mein us ka paikar dekha jaise shola pani mein
zulf ki lahren pechan jaise nag ho lapka pani mein
chandni shab mein us ke pichhe jab main utra pani mein
chandi aur simab laga tha pighla pighla pani mein
kitne rang ki machhliyan aain lalchati aur bal khati
qatra qatra meri ragon se KHun jo Tapka pani mein
raushan raushan rang nirale kaise nadir kitne habab
qulzum-e-hasti raqs mein tha ya ek tamasha pani mein
ek qalandar DhunD raha tha chand sitaron mein ja kar
us ka KHuda to poshida tha anqa jaisa pani mein
mujh ko ye mahsus hua tha apne ahd ka KHizr hun main
chupke chupke jab bhi main ne KHizr ko DhunDa pani mein
aalaish daghon se bhara ye tera badan ek roz 'zafar'
rahmat ki ghaTa jab barsi thi to saf hua tha pani mein
(1054) Peoples Rate This