Apne Dil-e-muztar Ko Betab Hi Rahne Do
apne dil-e-muztar ko betab hi rahne do
chalte raho manzil ko nayab hi rahne do
tohfe mein anokha zaKHm haalat ne baKHsha hai
ehsas ka KHun de kar shadab hi rahne do
wo hath mein aata hai aur hath nahin aata
simab-sifat paikar simab hi rahne do
gahrai mein KHatron ka imkan to ziyaada hai
dariya-e-talluq ko payab hi rahne do
ye mujh pe karam hoga hisse mein mere ai dost
iKHlas o murawwat ke aadab hi rahne do
ibham ka parda hai tashkik ka hai aalam
tum zauq-e-tajassus ko betab hi rahne do
mat jao qarib us ke tum ek gahan ban kar
aangan mein use apna mahtab hi rahne do
jab tak wo nahin aata ek KHwab-e-hasin ho kar
tum apne shabistan ko be-KHwab hi rahne do
wo barf ka toda ya patthar nahin ban jae
har qatra-e-ashk-e-gham sailab hi rahne do
wo bahr-e-fana mein KHud Duba hai to achchha hai
filhaal 'zafar' us ko gharqab hi rahne do
(985) Peoples Rate This