To Phir Main Kya Agar Anfas Ke Sab Tar Gum UsMein
to phir main kya agar anfas ke sab tar gum us mein
mere hone na hone ke sabhi aasar gum us mein
meri aankhon mein ek mausam hamesha sabz rahta hai
KHuda jaane hain aise kaun se ashjar gum us mein
hazaron sal chal kar bhi abhi KHud tak nahin pahunchi
ye duniya kash ho jae kabhi ek bar gum us mein
wo jaisa abr bheje jo hawa sar par chalae wo
mere dariya mere sahra mere kohsar gum us mein
nahin malum aaKHir kis ne kis ko tham rakkha hai
wo mujh mein gum hai aur mere dar o diwar gum us mein
'zafar' us ke the hum to kab talak us se alag rahte
hue hum ek din hona tha aaKHir-kar gum us mein
(952) Peoples Rate This