Raushni Parchhain Paikar AaKHiri
raushni parchhain paikar aaKHiri
dekh lun ji bhar ke manzar aaKHiri
main hawa ke jhakkaDon ke darmiyan
aur tan par ek chadar aaKHiri
zarb ek Thahre hue pani pe aur
jate jate phenk kankar aaKHiri
donon mujrim aaine ke samne
pahla patthar ho ki patthar aaKHiri
TuTti ek din lahu ki KHamushi
dekh lete hum bhi mahshar aaKHiri
ye bhi TuTa to kahan jaenge hum
ek tasawwur hi to hai ghar aaKHiri
dil musalsal zaKHm chahe hai 'zafar'
aur us ke pas patthar aaKHiri
(1012) Peoples Rate This