Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho

pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho

KHud apne shor mein gum aadmi se chahte kya ho

ye aankhon mein jo kuchh hairat hai kya wo bhi tumhein de den

bana kar but hamein ab KHamushi se chahte kya ho

na itminan se baiTho na gahri nind so pao

miyan is muKHtasar si zindagi se chahte kya ho

use Thahra sako itni bhi to wusat nahin ghar mein

ye sab kuchh jaan kar aawargi se chahte kya ho

kinaron par tumhaare waste moti baha lae

gharaunde bhi nahin toDe nadi se chahte kya ho

charagh-e-sham-e-tanhai bhi raushan rakh nahin pae

ab aur aage hawa ki dosti se chahte kya ho

(1623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Pukare Ja Rahe Ho Ajnabi Se Chahte Kya Ho in PDF.