Meri Ek ChhoTi Si Koshish Tujhko Pane Ke Liye
meri ek chhoTi si koshish tujh ko pane ke liye
ban gai hai masala sare zamane ke liye
ret meri umr main bachcha nirale mere khel
main ne diwaren uThai hain girane ke liye
waqt honTon se mere wo bhi khurach kar le gaya
ek tabassum jo tha duniya ko dikhane ke liye
aasman aisa bhi kya KHatra tha dil ki aag se
itni barish ek shole ko bujhane ke liye
chhat Tapakti thi agarche phir bhi aa jati thi nind
main nae ghar mein bahut roya purane ke liye
der tak hansta raha un par hamara bachpana
tajrabe aae the sanjida banane ke liye
main 'zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein
apni ghar-wali ko ek kangan dilane ke liye
(1884) Peoples Rate This