Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e541323d41722032315d1d8f8c87253e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale - Zafar Gorakhpuri Poetry In English - Darsaal

Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale

mera qalam mere jazbaat mangne wale

mujhe na mang mera hath mangne wale

ye log kaise achanak amir ban baiThe

ye sab the bhik mere sath mangne wale

tamam ganw tere bholpan pe hansta hai

dhuen ke abr se barsat mangne wale

nahin hai sahl use kaT lena aankhon mein

kuchh aur mang meri raat mangne wale

kabhi basant mein pyasi jaDon ki chiKH bhi sun

luTe shajar se hare pat mangne wale

tu apne dasht mein pyasa mare to behtar hai

samundaron se inayat mangne wale

(1370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale In English By Famous Poet Zafar Gorakhpuri. Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale is written by Zafar Gorakhpuri. Read famous Poem Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale for youth and Student by Zafar Gorakhpuri. Free Download Mera Qalam Mere Jazbaat Mangne Wale in PDF.