Jo Apni Hai Wo KHak-e-dil-nashin Hi Kaam Aaegi
jo apni hai wo KHak-e-dil-nashin hi kaam aaegi
giroge aasman se jab zamin hi kaam aaegi
yahan se mat uTha bistar ki is saffak aandhi mein
ye TuTi phuTi diwar-e-yaqin hi kaam aaegi
uTha rakkha tha sahra sar pe tum ne kaun manega
jhaTakna mat ki ye gard-e-jabin hi kaam aaegi
wo din aaega jab sare samundar sukh jaenge
miyan andar ki ju-e-atashin hi kaam aaegi
koi aankhon ke shole ponchhne wala nahin hoga
'zafar' sahab ye gili aastin hi kaam aaegi
(1157) Peoples Rate This