Jo Aae Wo Hisab-e-ab-o-dana Karne Wale The
jo aae wo hisab-e-ab-o-dana karne wale the
gae wo log jo kar-e-zamana karne wale the
uDane ke liye kuchh kam nahin hai KHak ghar mein bhi
wo mausam hi nahin hain jo diwana karne wale the
meri gum-gashtagi mere liye chhat ban gai warna
ye duniya wale mujh ko be-Thikana karne wale the
na dete sare manzar aks hi thoDe se de dete
hum aawara kahan tazin-e-KHana karne wale the
samundar le gaya hum se wo sari sipiyan wapas
jinhen hum jamma kar ke ek KHazana karne wale the
'zafar' be-KHanaman apne ko KHud hi kar liya tum ne
ye kar-e-KHair to ahl-e-zamana karne wale the
(1142) Peoples Rate This