Irada Ho ATal To Moajaza Aisa Bhi Hota Hai
irada ho aTal to moajaza aisa bhi hota hai
diye ko zinda rakhti hai hawa aisa bhi hota hai
sunai de na KHud apni sada aisa bhi hota hai
miyan tanhai ka ek saneha aisa bhi hota hai
chhiDe hain tar dil ke KHana-barbaadi ke naghme hain
hamare ghar mein sahib rat-jaga aisa bhi hota hai
bahut hassas hone se bhi shak ko rah milti hai
kahin achchha to lagta hai bura aisa bhi hota hai
kisi masum bachche ke tabassum mein utar jao
to shayad ye samajh pao KHuda aisa bhi hota hai
zaban par aa gae chhaale magar ye to khula hum par
bahut miThe phalon ka zaiqa aisa bhi hota hai
(1704) Peoples Rate This