Din Ko Bhi Itna Andhera Hai Mere Kamre Mein
din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein
saya aate hue Darta hai mere kamre mein
gham thaka-haara musafir hai chala jaega
kuchh dinon ke liye Thahra hai mere kamre mein
subh tak dekhna afsana bana Dalega
tujh ko ek shaKHs ne dekha hai mere kamre mein
dar-ba-dar din ko bhaTakta hai tasawwur mera
han magar raat ko rahta hai mere kamre mein
chor baiTha hai kahan soch raha hun main 'zafar'
kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein
(1522) Peoples Rate This