Dekhen Qarib Se Bhi To Achchha Dikhai De
dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de
ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de
ab bhik mangne ke tariqe badal gae
lazim nahin ki hath mein kasa dikhai de
neze pe rakh ke aur mera sar buland kar
duniya ko ek charagh to jalta dikhai de
dil mein tere KHayal ki banti hai ek dhanak
suraj sa aaine se guzarta dikhai de
chal zindagi ki jot jagae ajab nahin
lashon ke darmiyan koi rasta dikhai de
kya kam hai ki wajud ke sannaTe mein 'zafar'
ek dard ki sada hai ki zinda dikhai de
(1389) Peoples Rate This