Chehra Lala-rang Hua Hai Mausam-e-ranj-o-malal Ke Baad
chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad
hum ne jine ka gur jaana zahr ke istimal ke baad
kis ko KHabar thi muKHtari mein honge wo itne majbur
hum apne se sharminda hain un se arz-e-haal ke baad
apne siwa apne rishte mein aur bhi kuchh duniyaen thin
hum ne apna haal likkha lekin digar ahwal ke baad
aankhen yun hi bhig gain kya dekh rahe ho aankhon mein
baiTho sahab kaho suno kuchh mile ho kitne sal ke baad
toDe kitne aaine aur chhan liye kitne aafaq
koi na manzar aankh mein Thahra us ke aks-e-jamal ke baad
naqsh-gari ka buta ho to dhup chhanw mein rang bahut
chehra KHud ban jaega teDhi-meDhi ashkal ke baad
(1159) Peoples Rate This