Ashk-e-gham Aankh Se Bahar Bhi Nahin Aane Ka
ashk-e-gham aankh se bahar bhi nahin aane ka
abr chhaT jaen wo manzar bhi nahin aane ka
ab ke aaghaz-e-safar soch samajh ke karna
dasht milne ka nahin ghar bhi nahin aane ka
hae kya hum ne taDapne ka sila paya hai
aisa aaram jo aa kar bhi nahin aane ka
ahd-e-'ghaalib' se ziyaada hai mere ahd ka karb
ab to kuze mein samundar bhi nahin aane ka
sabza diwar pe ug aaya 'zafar' KHush ho lo
aage aankhon mein ye manzar bhi nahin aane ka
(1172) Peoples Rate This