Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_30116a51b5d9128d165385a09be6e88c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega - Zafar Ghauri Poetry In English - Darsaal

Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega

ubharte Dubte taron ke bhed kholega

fasil-e-shab se utar kar koi to bolega

ye ahd wo hai jo qail nahin sahifon ka

ye harf harf ko maslub kar ke tolega

utar hi jaega rag rag mein aaj zahr-e-sukut

wo pyar se mere lahje mein shahd gholega

mera nasib hi Thahra jo rabton ki shikast

tilism-e-jaan ka bhi ye qufl koi kholega

jo sune dil mein kahin bas gaya koi aaseb

jahan bhi jaoge saya sa sath ho lega

hai aaj waqt 'zafar' dil ki baat kah Dalen

kabhi to wo bhi zara apna dil TaTolega

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Ubharte Dubte Taron Ke Bhed Kholega in PDF.