Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff2f4aa97a93f7fd28983382cb0352cf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha - Zafar Ghauri Poetry In English - Darsaal

Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha

tera yaqin hun main kab se is guman mein tha

main zindagi ke baDe saKHt imtihan mein tha

shajar shajar meri aamad ka muntazir mausam

main barg-e-gul sa hawaon ki ek uDan mein tha

paTak ke toD diya jis ne nisha-e-jaan ko

mein ju-e-shir sa pinhan usi chaTan mein tha

andheri raat mein samt-e-sada pe chhoD diya

hawas ka tir jo us jism ki kaman mein tha

uTha saka na main dast-e-tahi se patthar bhi

mata-e-ghair sa wo kanch ki dukan mein tha

ye daur-e-ilm-o-hunar is ko paDh nahin paya

sahifa dil ka mera jaane kis zaban mein tha

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha In English By Famous Poet Zafar Ghauri. Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha is written by Zafar Ghauri. Read famous Poem Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha for youth and Student by Zafar Ghauri. Free Download Tera Yaqin Hun Main Kab Se Is Guman Mein Tha in PDF.