Shoale Se ChaTakte Hain Har Sans Mein KHushbu Ke
shoale se chaTakte hain har sans mein KHushbu ke
aai hai saba shayad wo phul sa tan chhu ke
ehsas ke jangal mein ek aag bhaDakti hai
jhonke kisi gulshan mein hain raqs-kunan lu ke
auron ne bhi puja hai ai dost tujhe lekin
yaksan to nahin hote jazbaat man-o-tu ke
ye ahd-e-tamanna bhi ek daur-e-qayamat hai
jab husn piye aansu aur ishq lahu thuke
hum KHosha-e-gandum ko jannat se yahan lae
phir bhi tere diwane duniya mein rahe bhuke
wo dard ko chinta tha palkon se sitaron ko
naghmon mein badalta hai ehsas ke lab chhu ke
kuchla hai bahut dil ko sangin haqaeq ne
phir bhi na 'zafar' bhule qisse ruKH-o-gesu ke
(1058) Peoples Rate This