Shab Ke Tarik Samundar Se Guzar Aaya Hun
shab ke tarik samundar se guzar aaya hun
TuTa tara hun KHalaon se utar aaya hun
tujh se jo ho na saka kaam wo kar aaya hun
aasman chhoD ke dharti pe utar aaya hun
dasht-e-tanhai mein bikhra hun hawaon ki tarah
ek sada ban ke dil-e-sang mein dar aaya hun
jaane kis KHauf se phirta hun main ghabraya hua
kya bala ban ke main KHud apne hi sar aaya hun
dil-shikasta se dar-o-baam ki muddat ke baad
KHairiyat puchhne ujDe hue ghar aaya hun
shoKH raaton ke liye mere taaqub mein na aa
dard ka chand hun KHwabon mein nazar aaya hun
apna saya bhi 'zafar' mujh ko na pahchan saka
kis nae bhes mein main aaj idhar aaya hun
(1047) Peoples Rate This