Sat Rangon Se Bani Hai Yaad Taza
sat rangon se bani hai yaad taza
dhup likh lai mubarakbaad taza
ban gai jannat to hijrat kar gae hain
nau-ba-nau hai dasht-e-jaan aabaad taza
lafz o mani ka ziyan hai KHud-azabi
lauh-e-dil par hai qalam ki dad taza
aab-e-taza KHanjar-e-KHamosh ko de
hai burida lab pe phir fariyaad taza
phir bahane jaega lawa lahu ka
KHisht-e-dil par ghar ki rakh buniyaad taza
be-charaghan bastiyon ko zindagi de
ek sitam aisa bhi kar ijad taza
aisi chup se aur dil ghuTne laga hai
kuchh to ho ruh-e-nawa irshad taza
(960) Peoples Rate This