Dil Mein Rakh ZaKHm-e-nawa Rah Mein Kaam Aaega
dil mein rakh zaKHm-e-nawa rah mein kaam aaega
dasht-e-be-samt mein ek hu ka maqam aaega
is tarah paDhta hun bahte hue dariya ki kitab
safha-e-ab par ek aks-e-payam aaega
qarya-e-jaan mein the yaadon ke shanasa chehre
ajnabi shahr mein kis kis ka salam aaega
maslahat-kesh to gul-ha-e-sataish se lade
sach ke hathon mein wahi zahr ka jam aaega
raqs-e-raftar se kya raund chala phulon ko
aag par chal ki tujhe lutf-e-KHiram aaega
KHanjar-e-zahr-e-wafa dil mein chhupae kab se
muntazir hun ki idhar wo sar-e-sham aaega
dida-e-dil se 'zafar' KHwab bhi chhin jaenge
waqt kahta hai ki ab aisa nizam aaega
(938) Peoples Rate This