Chal PaDe Hum Dasht-e-be-saya Bhi Jangal Ho Gaya
chal paDe hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya
ham-safar jab mil gae jangal mein mangal ho gaya
main tha baghi KHushk qatra baadalon ke des ka
sang-dil lamhon se Takraya to jal-thal ho gaya
han utar aati hain is wadi mein pariyan chand ki
kahte hain ek ajnabi sayyah pagal ho gaya
ras bhari barsat mein khilne laga dharti ka rup
jism ka aakash us KHushbu se bekal ho gaya
dur khiski ja rahi hai panw ke niche zamin
sar ke upar aasman aaankhon se ojhal ho gaya
kitne qarnon ne tarasha us but-e-bedard ko
kitni naslon ka lahu us jism mein hal ho gaya
umr bhar donon ko qaid-e-bahami ki di saza
wo jo ighwa ka muqadma tha so faisal ho gaya
har nafas hai sang-bari dil ke kachche ghaw par
lamha lamha zindagi ka kitna bojhal ho gaya
(999) Peoples Rate This