Zahr-e-gham Dil Mein Samone Bhi Nahin Deta Hai
zahr-e-gham dil mein samone bhi nahin deta hai
karb-e-ehsas ko khone bhi nahin deta hai
dil ki zaKHmon ko kiya karta hai taza har-dam
phir sitam ye hai ki rone bhi nahin deta hai
ashk-e-KHun dil se umanD aate hain dariya ki tarah
daman-e-chashm bhigone bhi nahin deta hai
uThna chahen to gira deta hai phir Thokar se
be-KHudi chahen to hone bhi nahin deta hai
har ghaDi lagti hai 'anwar' pe nai ek tohmat
kisi ilzam ko dhone bhi nahin deta hai
(823) Peoples Rate This