Jaib O Gareban TukDe TukDe Daman Ko Bhi Tar Kiya
jaib o gareban TukDe TukDe daman ko bhi tar kiya
kaise kaise hum ne apni wahshat ka izhaar kiya
tauq-o-salasil hum ne pahne KHud ko supurd-dar kiya
hum KHud apni jaan se guzre tab tera didar kiya
KHun-e-jigar aankhon se bahaya gham ka sahra par kiya
teri tamanna ki kya hum ne jiwan ko aazar kiya
ranj-o-alam ki basti mein hum ab tak tanha tanha hain
tum se thi ummid-e-wafa so tum ne bhi inkar kiya
husn wafa KHuddari ghairat har ek ki nilam hui
hum logon ne aaKHir ek din basti ko bazar kiya
rah-e-amal mein bazi aaKHir ek din tum hi jit gae
hum ne wafa ek bar agar ki tum ne sitam sau bar kiya
hum to 'zafar' har aan usi ke gham mein Dube rahte hain
jis ne gham ki daulat baKHshi hum pe baDa upkar kiya
(974) Peoples Rate This