Ye Dasht-e-shauq Ka Lamba Safar Achchha Nahin Lagta
ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
magar Thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta
yahi ek baat ab main sochta rahta hun KHalwat mein
na jaane kyun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta
karam karte nahin kyun tum mere qalb-e-shikasta par
mera yun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta
nigahon se jo ojhal us gul-e-rana ka jalwa hai
ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta
udhar wo bhi bichhaD ke hum se khoe khoe rahte hain
akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta
uThi hai jab se ye diwar-e-nafrat dal ke aangan mein
mujhe ai dosto KHud apna ghar achchha nahin lagta
(1016) Peoples Rate This