Us Se Mera To Koi Dur Ka Rishta Bhi Nahin
us se mera to koi dur ka rishta bhi nahin
aur ye bhi hai ki wo shaKHs paraya bhi nahin
wo mere gham se ho anjaan kuchh aisa bhi nahin
wo mera haal magar puchhne aaya bhi nahin
ghair ko qurb mayassar hai magar ai hamdam
meri KHatir to tera dur ka jalwa bhi nahin
umr bhar sath nibhane ka karun kya wada
zindagi ab to mujhe KHud pe bharosa bhi nahin
is qadar mujh ko raha aabru-e-gham ka KHayal
rona chaha to magar phuT ke roya bhi nahin
ek teri jo tamanna na rahi ai hamdam
mere dil mein to kisi shai ki tamanna bhi nahin
ek wo hain ki unhen aai hai aaram ki nind
ek main hun ki kabhi chain se soya bhi nahin
baz aate bhi nahin zulm-o-sitam se apne
dekh pate ho magar mera taDapna bhi nahin
chhoDe jati hai magar ye bhi tujhe yaad rahe
zindagi tere siwa ab koi apna bhi nahin
kis tarah phail gai bu-e-hina har jaanib
us ke bare mein abhi main ne to socha bhi nahin
mujh ko haalat ne behis hi bana kar chhoDa
mere sine mein ye dil hai ki dhaDakta bhi nahin
bhul ke sare sitam hum to chale jate 'zafar'
par hamein us ne kabhi dil se bulaya bhi nahin
(1285) Peoples Rate This