Sirhane Bebasi Roti Rahi Hai
sirhane bebasi roti rahi hai
shab-e-gham zindagi roti rahi hai
shab-e-gham saneha kya ho gaya tha
bahr-su chandni roti rahi hai
ye meri shumi-e-qismat pe yaro
sahar tak shama bhi roti rahi hai
meri be-chaargi par bazm-e-anjum
kabhi hansti kabhi roti rahi hai
gulon ki muskurahaT yaad kar ke
gulistan mein kali roti rahi hai
KHalish hoti hai patthar ke bhi dil mein
buton ki aankh bhi roti rahi hai
tumhein kya hai KHabar tanhaiyon mein
sitamgar ki gali roti rahi hai
faqat aankhen nahin furqat ki shab mein
hamari ruh bhi roti rahi hai
'zafar' jab se hua tark-e-talluq
hamari shaeri roti rahi hai
(1238) Peoples Rate This