Mohabbat Ki Bulandi Se Kabhi Utra Nahin Jata
mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata
tera dar chhoD ke mujh se kahin jaya nahin jata
main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin
tera utra hua chehra mujhe dekha nahin jata
buzurgon ki duaen bhi safar mein sath hoti hain
bigaDega koi kya main kahin tanha nahin jata
gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo
kabhi aise amiron ke yahan jaya nahin jata
ghamon ki dhup mein kuchh is tarah badla mera chehra
ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jata
thaka hun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai
magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jata
yahi sauda-garan-fan se kahna hai 'zafar' mujh ko
ghazal ko chand sikkon ke ewaz becha nahin jata
(956) Peoples Rate This