Jab Bhi Mazi Ke Nazare Ko Nazar Jaegi
jab bhi mazi ke nazare ko nazar jaegi
sham ashkon ke sitaron se sanwar jaegi
kya bataun ki kahan tak ye nazar jaegi
ek din hadd-e-tayyun se guzar jaegi
jab bhi us ke ruKH-e-raushan ka KHayal aaega
chandni dil ke shabistan mein utar jaegi
har sitam karne se pahle ye zara soch bhi le
main jo bikhra to teri zulf bikhar jaegi
main ye samjhunga mujhe mil gai meraj-e-wafa
zindagi gar teri yaadon mein guzar jaegi
us taraf apni mohabbat ki kahani hogi
ye hawa bu-e-wafa le ke jidhar jaegi
kya KHabar thi ki 'zafar' ruh meri duniya mein
aarzuon se kuchal kar kabhi mar jaegi
(993) Peoples Rate This