Inki Nazron Mein Na Ban Jae Tamasha Chehra
in ki nazron mein na ban jae tamasha chehra
is liye Darta hun dikhlane se apna chehra
jaane kya baat hui shahr-e-nigar-e-jaan mein
aaj kyun ajnabi lagta hai shanasa chehra
bahr-e-gham bhi hai kabhi aashiq KHasta ke liye
hai kabhi sahil-e-ishrat bhi tumhaara chehra
hum wahan hain jahan qaem hai hukumat dil ki
phir bhi kyun rose dikhata hai karishma chehra
chehra-e-husn ko ab dekh ke ye sochta hun
aaina hai koi ya aaina-KHana chehra
kya rahe dil ki koi baat muamma ban kar
karta rahta hai yahan dil ka fasana chehra
kaun hai jis ke liye itna pareshan hai dil
DhunDhta rahta hai ab kis ko wo chehra chehra
kushta-e-gardish-e-dauran hue uf ri taqdir
warna kal chand se behtar tha hamara chehra
wo tere phul se din mujh ko bahut yaad aae
main ne dekha jo tera dhup mein jhulsa chehra
chashm-e-mushtaq za-sar ta-ba-qadam main bhi hun
ban gaya hai jo tera husn sarapa chehra
mehrban kaun mere dil pe hai itna ai 'zafar'
har ghaDi rahta hai aankhon mein ye kis ka chehra
(973) Peoples Rate This