Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_16739c6d234dc368d6f4fbcb0c829441, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai - Zafar Ansari Zafar Poetry In English - Darsaal

Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai

har ek shai ishtihaari ho gai hai

ye duniya karobari ho gai hai

mere dil mein jo thi wo baat ab to

mere honTon pe jari ho gai hai

sitam jhele hain itne aagahi ke

ajab haalat hamari ho gai hai

teri yaadon ke sadqe wajh-e-rahat

shab-e-aKHtar-shumari ho gai hai

kai din se ye kaisi be-KHudi si

dil-e-muztar pe tari ho gai hai

ye mumkin hi nahin tanha rahun main

gham-e-jaanan se yari ho gai hai

ye teri aarzu teri tamanna

bhala kyun wajh-e-KHwari ho gai hai

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai In English By Famous Poet Zafar Ansari Zafar. Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai is written by Zafar Ansari Zafar. Read famous Poem Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai for youth and Student by Zafar Ansari Zafar. Free Download Har Ek Shai Ishtihaari Ho Gai Hai in PDF.